WASEELEY WAALI HADEES PER GM KA AETRAAZ AUR USKA JAWAAB
"HAZRAT UMAR FAROOQ رضي الله عنه K AHADE KHILAFAT ME HUZOOR NABI KAREEM ﷺ KI QABR E MUBARAK SE TAWASSAL WAALI HADIS
"HAZRAT UMAR FAROOQ رضي الله عنه ke zamana e (khilafat) me log qahet (sukha) me mubtila hogaye..fhir ek SAHABI E RASOOL ﷺ ki QABR E ATHAAR par aaye aur arz kiya
"YA RASOOL ALLAH ﷺ APP ALLAH SE APNI UMMAT KE LIYE SAYERABI MANGIYE Q K WO HALAK HOGAI HAI
Musannaf Ibne Abi Shayeba :12/2/31
GHAIR MUQALLIDEEN KA AETRAAZ
Is hadis ki sanad me ek rawi h jinka naam MALIK DAAR hai Unki saqahat aur zabt MAROOF nahi...
Lehaza ye hadis DAEEF hai..
Aetraaz ka Jawaab
"Is bewaja etraz ka butlaan MALIK DAAR ke is sawanhi tazkire se sabit hai jise IBNE SAAD (mutwaffi..230 hijri) Ne MADNI TABAIN ke DUSRE TABQE me bayan karte huye kuch yun Bayan kiya hai...
Wo likhte hain k, "MALIK DAAR HAZRAT UMAR FAROOQ رضي الله عنه KA AAZAAD KARDA GHULAM THE, UNHONE HAZRAT ABUBAKAR O UMAR رضي الله عنهم SE RIWAYAT LEKAR BAYAAN KI HAI...
ISEY ABU SALAHE SAMMAN (dusre rawi) NE RIWAYAT LI HAI "WO MAAROOF THE."
Ibne Saad, Tabqatul kubra :5..12
HAFIZ KHALILI (mutwaffi..445 hijri) Malik daar par tabsara karte hue farmate hain,
"MALIK DAAR KI (siqahat) MUTTAFAQ ALYE HAI, AUR TABA'EEN KI JAMAAT NE INKI BAHOT TAARIF KI HAI."
Kitabul Irshad fi Maarfat Ulma ul Hadees : 9
Iske alawa HAFIZ IBNE HAJAR ASQALANI (mutwaffi..852 hijri) Ne MALIK DAAR ka jo sawanih khaka (haalat e zindagi par) bayan kiya hai, isse bhi ye etraz radd hota hai...
Chunaache wo likhte hain, "Malik bin Ayaz Daar, HAZRAT OMER FAROOQ رضي الله عنه k AAZAAD KURDA GULAM the, inhey Malik Daar kaha jata hai, Unhone HUZOOR NABI KAREEM ﷺ ko dekha tha..
Aur unhone HAZRAT ABUBAKAR SIDDIQUE رضي الله عنه se HADEES suni hai, Unhone HAZRAT ABUBAKAR O UMAR رضي الله عنهم aur Hazrat Ma'az bin Jabal aur Hazrat Abu Ubayeda رضي الله عنهم اجمعين se riwayat li hai..
Aur isse Abu Swaleh Samman aur in (Malik Daar) k 2 beto Awon aur Abdulla ne riwayat li hai
"AUR IMAM BUKHARI NE MALIK DAAR SE BAHAWALA ABU SWALEH ZAKU AN SE RIWAYAT LI HAIE.
Imam Bukhari, Attarikhul Kabir : 7..5..304
Aage IBNE HAJAR ASQALANI رحمة الله عليهlikhte hain,
"Ibne Saad ne Malik Daar ko Ahle Madina Tabaeen k pahele tabqe (First category) me zikr kiya hai..
Aur kaha hai k usne HAZRAT ABUBAKAR O OMER رضي الله عنهم se riwayat li hai, aur wo MAROOF the..
Hazrat Abu ubayeda رضي الله عنه ne inke baare kaha k HAZRAT OMER FAROOQ رضي الله عنه ne inhe apne ayaal (ghar wale) ka nigraa muqarrar kiya tha..
Phir jab Hazrat Osman bin Affan رضي الله عنه khalifa bane to unhone ise wazir e khazana bana diya aur isiliye unka naam Malik Daar (ghar ka malik) Pad gaya...
Ismail bin Qaazi ne Ali bin Madini se riwayat kiya hai k Malik Daar HAZRAT OMER FAROOQ رضي الله عنه k KHAZANCHI the."
Ibne Hajar Al Asaba fi Tam'eez us Sahaba : 3..5.. 484
Aur IMAM IBNE HIBBAN (mutwaffi..354 hijri)ASSIQAT me Malik Daar ko SIQA qaraar diya hai."
Rafal manara:266.
Subhan ALLAH
In tamam Mohaddiseen ne Malik Daar ko SIQA hi nahi balke Khulafaye Raashideen se Hadees e riwayat karne wala bataya...
Aur sabit kiya k Malik Daar KHAZANCHI aur ghar ke nigra muqarrar huye, ab iske ye kehna k ye maroof nahi the, aesa kehna afsoosnaak hai
Ab dekhte haie ye riwayat jo upar bayan hui usko kis kisne SAHI KAHA
IMAM IBNE KASEER ne is riwayat ke baare me kaha k ISKI ISNAAD SAHI HAI."
Ibne Kaseer, Al Bidaya Wan Nehaya : 5.. 167
IBNE HAJAR ASQALANI رحمة الله عليه ne is Hadees ko naql karne k baad likha, "Ye riwayat Ibne Abi Shayeba ne SAHI SANAD ke saat bayan ki
Ibne Hajar, Fath Ul Baari : 2.. 6.. 495
IMAM QASTALANI رحمة الله عليه ne kaha k ise Ibne Abi Shayeba ne SAHI ISNAAD k saat riwayat kiya hai
Imam Qastalani, Mawahib Ul Laduniya : 4/276
IBNE KHUZYEMA ne isi sanad ke saat is HADEES ko bayan kiya..
Ibne Hajar, Al Asaaba fi Tameez us Sahaba : 3/484
Lehaza in tamam MUHADDISEEN ki tashreeh ke baad is HADEES ko DAEEF kehna yakinan LAA ILMI aur apne FAASIQ AQEEDE ki taayid hai
ALLAH hame sahi aqida bayan karne ki taufiq ata farmaye aur ayese logo ko hidayat ataa farmaye..
آمين بجاه سيد المرسلين ﷺ
TALIB E DUA
Gulam Azhari