HADEES

HADEES 01:
HUZOOR SARWAR E KONAIN  farmate hain, zakaat ka maal jis maal mme mila hoga isey tabah kardega.
(AL BIZAAR, AL BEHAQI, RAWI UMMUL MOMINEEN AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما)

HADEES 02:
HUZOOR E AKRAM  farmate hain khushki o tari me jo maal talaf hota hai wo zakaat na dene hi se talaf hota hai.
(AL TABRANI, RAWI HAZRAT OMER رضي الله عنه)

HADEES 03:
HUZOOR E AQDAS  farmate hain, jisne apne maal ki zakaat ada kardi beshak ALLAH TA'ALA ne is maal ka shar isse dur farma diya.
(IBNE KHUZAYEMA FI SAHIH WA TABRANI FIL AOSAT WA HAKIM, RAWI HAZRAT JABER BIN ABDULLAH رضي الله عنهما)

HADEES 04:
HUZOOR E AKRAM  farmate hain, apne maalo ko mazboot qilo me karlo zakaat dekar aur apne bimaro ka ilaaj karo khaeraat se.
(ABU DAWOOD, TABRANI, BEHAQI)

HADEES 05:
RASOOL ALLAH  farmate hain jo ALLAH TA'ALA aur iskey rasool per imaan laata ho isey laazim hai k apne maak ki zakaat ada karey.
(TABRANI, RAWI HAZRAT OMER رضي الله عنه)

HADEES 06:
SYEDNA ABU ZAR رضي الله عنه ne farmaya k HUZOOR NABI KAREEM  ko maine farmate suna k peeth tod kar karwat se niklega aur gaddi tod kar peshani se, inkey pastaan per wo jahannum ka garam pather rakhenge k seena tod kar shaana se nikal jayega aur shaana ki haddi per rakhenge k haddiyaan todta seene se niklega.
(MUSLIM, IKHRAJA AL SHAIKHAAN AN ALAHNAF BIN QAES)

Aye azeez kya khuda aur rasool k farmaan ko yunhi hasi thatha samajta hai ya 50 hazaar baras ki muddat me ye jaankaahey musibatey jhelni asaan jaanta hai, zara yahi ki aag me ek aadh rupiya garam karkey badan per rakh, dekh phir kaha ye garmi kaha wo qeher aag, kaha ye ek hi rupiya kaha wo saari umar ka joda hua maal, kaha ye minute bhar ki der kaha wo hazaaro baras ki aafat, kaha ye halka sa chaksa kaha wo haddiyaan todkar paar hone wala ghazab, ALLAH TA'ALA musalmano ko hidayat bakhshey.

AAMEEN

HADEES 07:
HAZRAT ABULLAH BIN MAS'OOD رضي الله عنه ne farmaya, koi rupiya dusrey rupiye per na rakha jaye na koi ashrafi dusri ashrafi se chu jayegi balkey zakaat ne dene waley ka jism itna badha diya jayega k laakho karodo jodey ho to har rupiya juda daagh dega.
(AL TABRANI)

HADEES 08:
HUZOOR SARWAR E DO ALAM ne farmaya, ek azdaha mu kholkar iskey piche daodega, ye bhaagega isse farmaya jayega le apna wo khazana k chupakar rakha tha k main isse ghani hoon jab dekhega k is azdahe se kahi bachao nahi nachaar apna haath iskey mu me de dega wo aesa chabayega jaese nar oont chabata hai.
(MUSLIM)

HADEES 09:
SARKAAR E DO ALAM farmate hain, faqeer har gaz nange bhookey hone ki takleef na uthayenge magar aghniya k hatho, sunlo aese to nagro se ALLAH TA'ALA sakht hisaab lega aur inhey dardnaak azaab dega.
(TABRANI)

HADEES 10:
SARWAR E KONAIN farmate hain, qayamat k din to nagro k liye mohtajo k hath se kharabi hai, mohtaaj arz karenge k aye rab hamare unhone hamare huqooq jo tuney hamarey liye in per farz kiya the zulman na diye, ALLAH AZWAJAL farmayega k mujhe qasam hai apne izzat o jalaal ki k tumhey apna qarb ata karunga aur inhey dur rakhunga.
(TABRANI)

HADEES 11:
HUZOOR E AQDAS ne kuch log dekhe jinkey aagey pichey langotiyo ki tarah kuch chethdey the aur jahannam k garam pather aur thohad aur sakht kadvi jalti badbo wali ghaans chaopaiyo ki tarah charte phirte the, JIBRAEEL E AMEEN عليه السلام se pucha ye kaon log hain? arz kiya k ye zakaat na dene waley hain aur ALLAH TA'ALA in per zulm nahi kiya, ALLAH TA'ALA bando per zulm nahi farmata.
(AL BIZAAR)


No comments:

Post a Comment